Total Pageviews

Sunday, October 23, 2011

और कितनी बार......

मेरी खामोशियों
मेरी तनहाइयों
और मेरी उदास शामों से
कितनी और दीपावलियों के चिराग
पूछेंग सवाल !
और कितनी बार
आसमान ताक कर
में सिरफ़  मुस्कराता  रहूंगा 
ऐसा ना हो
मेरे सब्र की इनतहं खतम् हो जाये
इसलिये चले आओ इस दीपावली पर
जलाने वो चिराग
जिनहे तुम बुझा आई थी
कुछ बरस पहले
तेल कि कुछ बूदें
शेष ! रहने  तक ।
- सुशील गैरोला

Monday, August 8, 2011

Yaad

"Yaad"
aati hai aane par
na aane par bhi aati hai "Yaad"
chahne par
chali aati hai
Dhoop si kamre me fail jati hai
na chahne par bhi aati hai yaad.

Achanak kabhi
chupke se dubak kar
kabhi darwaje khar-kharakar aati hai yaad
yaad aati hai
dhoop, hawa chandni ki aad lekar
yaad aati hai beeti yaadon ka pahad lekar
tumhare aane ki aahat se aati hai yaad
tumhare jane ki chahat se aati hai yaad
na hone par tumhare
satati hai "Yaad".

Jagati hai subah jaagne par
jagati hai raat sone par
kamra khula
ya band hone par
Palken bhigone
chupke se
aati hai
"YAAD".
-Susheel Gairola
© published in 2008.

Sunday, August 7, 2011

Kaash! humne us rishte ko koi NAAM na diya hota.

Wo
tumhara milna yakayak
ek sapne sa dikhai dena
aankh lagte hi......
do-char alfazon ki han-na
aur fir wo "DoSTi"
ta-umr saath nibhane ke
dhero waade/har un wodon par
jawan hoti "DoSTi'
itni jawan hui ki hamne kabul kiya
is rishte ko ek naya naam dena
"DoSTi" se iter.
Kai harf bane kai harf mite
kabhi bhoor subhe kabhi saanjh dhale....
aur fir ek din
nazar lag gayee jamane ki
Aaj dafan hue un rishton ki jami pe
ug aaya hai yaadon ka gulab
yahi kehne.....
Kaash!
humne us rishte ko koi
NAAM na diya hota.
-Susheel Gairola ©2011

Sunday, June 19, 2011

Nazm..

Sirf nibhaya gaya bhar
"taqalluf" ka safar
"shuqriya" "aammen" jaise hurf
aur kuch bhi to nahi hai mere paas
tumhara diya-
"Dil" bhi nahi.

ye ranjo-gam ye kahani
ho nahi sakte tumhari nishani
udas din aur shyah raaton ki tarah
haq hai merea in par.

Achanak mile jab kabhi
dono taraf
haan dono taraf
bah aai thi dariyaen jajbaat ki
thi magar mahir tum is tarah ke haalat ki
gujar gayi youn kareeb se
bheench kar jajbaat
othon ki tarah daanton tale
goya
shaher ho ajnabi aur...
koi chehra pehchana nahi
jab ki labon ki shikan me kahin
meri hamnafas hum reh gaye the wahin.

aana kabhi
ghadi do ghadi
lamhe do lamhon ke liye
taqalluf hi sahi......aameen.

-
susheel Gairola
[Published in "Nirjharni" in July 1997.]

Thursday, May 26, 2011

Jeena isi ka naam hai...

"ye jeene ki ada hai ya jeena isi ka naam hai,
yahan dhundli hain subhen to bebas shaam hai,
kahin lahu bech kar chulha hai jalta,
kahi chalakta jaam hai,
bus is umeed pe sakoon se mar gaya wo,
ki kafan ka intzaam hai,
ab tumhi kaho e dost ye marne ki ada hai
ya jeena isi ka naam hai."

Sunday, May 15, 2011

Aur chaha bhi itna....

Mathe pe rakt sendur
aur ek choti si bindiya mere naam ki,
apalak raaton aur unide din ke baad
ek choti si mulakat shaam ki,
bus itna hi chaha tha....
lekin,
kabhi khush hue to
muskra na sake
gam mile to aansu baha na sake
Jindgi ne yun rishta nibhaya humse
ki jise chaha use paa na sake,
aur kambakth..
chaha bhi itna ki
BHULA NA SAKE.

Saturday, May 7, 2011

"Maa".....

On mother's Day I salute to allmothers~
Duniya jab sambandhon ke beech lakeer ban gayee,
Sangharsh hi jeewan ki takdeer ban gayee,
mamta ke retile aanchal par ungli firayee bewajah,
dekha to "maa" teri tasveer ban gayee.
"thanks Maa".

Saturday, April 30, 2011

"Aashiq" dafn hote hain...

Khwabon me jo aate ho hakiqat me kyun nahi aate,
Hansana gar nahi aata to kyun kar rula jate,
Jahar ki ek pudiya se agar sare khwab mar jate,
to na ye pyar reh pata kabhi ke hum bhi tar jate,
bhulado hume hum jahar se dara nahi karte,
"Aashiq" dafn hote hain mara nahi karte.