Total Pageviews

Monday, August 8, 2011

Yaad

"Yaad"
aati hai aane par
na aane par bhi aati hai "Yaad"
chahne par
chali aati hai
Dhoop si kamre me fail jati hai
na chahne par bhi aati hai yaad.

Achanak kabhi
chupke se dubak kar
kabhi darwaje khar-kharakar aati hai yaad
yaad aati hai
dhoop, hawa chandni ki aad lekar
yaad aati hai beeti yaadon ka pahad lekar
tumhare aane ki aahat se aati hai yaad
tumhare jane ki chahat se aati hai yaad
na hone par tumhare
satati hai "Yaad".

Jagati hai subah jaagne par
jagati hai raat sone par
kamra khula
ya band hone par
Palken bhigone
chupke se
aati hai
"YAAD".
-Susheel Gairola
© published in 2008.

Sunday, August 7, 2011

Kaash! humne us rishte ko koi NAAM na diya hota.

Wo
tumhara milna yakayak
ek sapne sa dikhai dena
aankh lagte hi......
do-char alfazon ki han-na
aur fir wo "DoSTi"
ta-umr saath nibhane ke
dhero waade/har un wodon par
jawan hoti "DoSTi'
itni jawan hui ki hamne kabul kiya
is rishte ko ek naya naam dena
"DoSTi" se iter.
Kai harf bane kai harf mite
kabhi bhoor subhe kabhi saanjh dhale....
aur fir ek din
nazar lag gayee jamane ki
Aaj dafan hue un rishton ki jami pe
ug aaya hai yaadon ka gulab
yahi kehne.....
Kaash!
humne us rishte ko koi
NAAM na diya hota.
-Susheel Gairola ©2011